Pattharon Par Wadiyon Mein Naqsh-e-pa Mera Bhi Hai
pattharon par wadiyon mein naqsh-e-pa mera bhi hai
raston se manzilon tak silsila mera bhi hai
panw us ke bhi nahin uThte mere ghar ki taraf
aur ab ke rasta badla hua mera bhi hai
habs ke aalam mein bhi zinda hun teri aas par
ai hawa-e-taza darwaza khula mera bhi hai
baadalon se ai zamin tu hi nahin hai na-umid
raegan sa ab ke kuchh harf-e-dua mera bhi hai
be-basarat shahr mein be-chehragi ke darmiyan
ek diya jalta hua ek aaina mera bhi hai
dekhta hun main bhi sab ke sath duniya ko magar
ek alag zauq-e-nazar ek zawiya mera bhi hai
tirgi mein aaj agar main hun to ho sakta hai kal
dastaras mein chand ho aaKHir KHuda mera bhi hai
(1594) Peoples Rate This