Nae Paikar Nae Sanche Mein Dhalna Chahta Hun Main

nae paikar nae sanche mein Dhalna chahta hun main

mizaj-e-zindagi yaksar badalna chahta hun main

zamin teri kashish ne rok rakkha hai mujhe warna

hudud-e-KHak se bahar nikalna chahta hun main

numu ka josh Thokar marta rahta hai sine mein

lahu ka chashma hun kab se ubalna chahta hun main

guzarte ja rahe hain qafile tu hi zara ruk ja

ghubar-e-rah tere sath chalna chahta hun main

main apne barf ke paikar se KHud ukta gaya hun ab

chamak mujh par mere suraj pighalna chahta hun mein

sadaen dasht deta hai mujhe wahshat bulati hai

so KHak-e-ishq apne sar pe malna chahta hun main

idhar se bhi koi guzre ki main jis se kahun 'aslam'

charagh-e-rahguzar hun aur jalna chahta hun main

(806) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nae Paikar Nae Sanche Mein Dhalna Chahta Hun Main In English By Famous Poet Aslam Mahmood. Nae Paikar Nae Sanche Mein Dhalna Chahta Hun Main is written by Aslam Mahmood. Read famous Poem Nae Paikar Nae Sanche Mein Dhalna Chahta Hun Main for youth and Student by Aslam Mahmood. Free Download Nae Paikar Nae Sanche Mein Dhalna Chahta Hun Main in PDF.