Na Malal-e-hijr Na Muntazir Hain Hawa-e-sham-e-visal Ke
na malal-e-hijr na muntazir hain hawa-e-sham-e-visal ke
hum asir apni hi zat ke kisi KHwab ke na KHayal ke
mere shauq-e-sair-o-safar ko ab nae ek jahan ki numud kar
tere bahr o bar ko to rakh diya hai kabhi ka main ne khangal ke
wo hamin the jin ke kamal ki hai ye kaenat bhi mo'tarif
wahi hum ki aaj tamash-bin hue KHud hi apne zawal ke
jo nawah-e-jaan mein muqim hain unhin mausamon ka tilism hai
kabhi jam uchhaale nashat ke kabhi rang uDae malal ke
wahi subh o sham ke marhale wahi KHal o aab ke silsile
wahi qisse nan-o-namak ke hain wahi jhagDe mal-o-manal ke
tera aaina hun main zindagi tere aks ka main amin hun
hai meri shikast tera ziyan mujhe rakh bacha ke sambhaal ke
mere kar-zar-e-hayat mein na koi najib na kam-nasab
yahan nam sirf hunar ka hai yahan charche bas hain kamal ke
nahin gardishon mein jo waqt ki ho ata wo saat-e-mawara
na to ibtida ho na intiha na hon silsile mah o sal ke
(1467) Peoples Rate This