Mizha Pe KHwab Nahin Intizar Sa Kuchh Hai
mizha pe KHwab nahin intizar sa kuchh hai
bahaar to nahin aks-e-bahaar sa kuchh hai
mujhe mila na kabhi farsh-e-gul pe bhi aaram
yahi laga ki kahin nok-e-KHar sa kuchh hai
jo pas tha isi sauda-e-sar ki nazr hua
na dhajjiyan hi bachi hain na tar sa kuchh hai
tamam umr jise main ubur kar na saka
darun-e-zat mere be-kanar sa kuchh hai
guzar gai mujhe chhu kar kisi KHayal ki rau
ufuq se ta-ba-ufuq rang-zar sa kuchh hai
KHayal-o-KHwab hue sab visal ke lamhe
nazar mein sirf chamakta ghubar sa kuchh hai
ye haal hai ki hawaon se uljha jata hun
lahu mein ab ke ajab intishaar sa kuchh hai
(831) Peoples Rate This