Main Hajw Ek Apne Har Qaside Ki Rad Mein Tahrir Kar Raha Hun
main hajw ek apne har qaside ki rad mein tahrir kar raha hun
ki aap-apne se hun muKHatab KHud apni tahqir kar raha hun
kahan hai fursat nashat o gham ki ki KHud ko tasKHir kar raha hun
lahu mein girdab Dalta hun nafas ko shamshir kar raha hun
meri kahani raqam hui hai hawa ke auraq-e-muntashir par
main KHak ke rang-e-ghair-fani ko apni taswir kar raha hun
main sang-o-KHisht-e-ana ki barish mein kab ka mismar ho chuka hun
ab inkisari ki narm miTTi se apni tamir kar raha hun
ye ishq ki hai fusun-taraazi ki wahshaton ki karishma-sazi
kamand KHushbu pe Dalta hun hawa ko zanjir kar raha hun
shanwa-wari ke usul mujh ko bataega koi kya ki main ne
kiya hai maujon ka KHair-maqdam bhanwar ki tauqir kar raha hun
tum apne dariyaon par biThao hazar pahre magar mujhe kya
main sare KHwabon ko sab sarabon ko apni jagir kar raha hun
(797) Peoples Rate This