Main Ek Ret Ka Paikar Tha Aur Bikhar Bhi Gaya
main ek ret ka paikar tha aur bikhar bhi gaya
ajab tha KHwab ki main KHwab hi mein Dar bhi gaya
hawa bhi tez na thi aur charagh mar bhi gaya
main samne bhi raha zehn se utar bhi gaya
na ehtiyat koi kaam aaya ishq ke sath
jo rog dil mein chhupa tha wo kaam kar bhi gaya
ajab thi hijr ki saat ki jaan pe ban aai
kaDa tha waqt wo dil par magar guzar bhi gaya
hawa se dosti jis ko tha mashwara mera
usi charagh ki lau se main aaj Dar bhi gaya
kabhi na mujh ko Daraega mere baatin se
ye ahd kar ke mera aaina mukar bhi gaya
kinare wale mujhe bas sadaen dete rahe
bhanwar ko naw bana kar main par utar bhi gaya
main KHak-e-pa sahi kam-tar mujhe na jaan ki main
ghubar ban ke uTha aasman par bhi gaya
main apne jism ke andar tha aafiyat se magar
lahu ke sail-e-bala-KHez mein ye ghar bhi gaya
KHata ye thi ki main aasaniyon ka talib tha
saza ye hai ki mera tisha-e-hunar bhi gaya
(859) Peoples Rate This