Kyun Mujhse Gurezan Hai Main Tera Muqaddar Hun

kyun mujh se gurezan hai main tera muqaddar hun

ai umr-e-rawan KHush hun main tujh ko mayassar hun

main aap bahaar apni main apna hi manzar hun

KHud apne hi KHwabon ki KHushbu se moattar hun

be-rang na wapas kar ek sang hi de sar ko

kab se tera talib hun kab se tere dar par hun

jab jaisi zarurat ho ban jata hun waisa hi

KHud apni tabiat mein shisha hun na patthar hun

lamhon ke tasalsul mein marzi hai meri shamil

main waqt ki shah-e-rag par rakkha hua KHanjar hun

aasuda hun main apne virana-e-hasti mein

duniya tujhe milne ke imkan se bahar hun

jab chahun simaT kar main zarre mein sama jaun

wusat mein to waise hi sahra hun samundar hun

(761) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kyun Mujhse Gurezan Hai Main Tera Muqaddar Hun In English By Famous Poet Aslam Mahmood. Kyun Mujhse Gurezan Hai Main Tera Muqaddar Hun is written by Aslam Mahmood. Read famous Poem Kyun Mujhse Gurezan Hai Main Tera Muqaddar Hun for youth and Student by Aslam Mahmood. Free Download Kyun Mujhse Gurezan Hai Main Tera Muqaddar Hun in PDF.