Kiya Gardishon Ke Hawale Use Chaak Par Rakh Diya

kiya gardishon ke hawale use chaak par rakh diya

ki banne bigaDne ka har faisla KHak par rakh diya

mujhe qasr-e-tabir ki us ne sab kunjiyan saunp din

magar chhin kar KHwab aankhon se aflak par rakh diya

siwa rakh hone ke ab koi chaara bacha hi nahin

sharar-e-hawas kis ne ye mere KHashak par rakh diya

koi hai jo girdab-e-gham se bachae hue hai mujhe

ki ek mehrban hath phir chashm-e-namnak par rakh diya

koi kaam 'aslam' bana hi nahin wahshaton ke baghair

jala kar charagh-e-junun taq-e-idrak par rakh diya

(820) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kiya Gardishon Ke Hawale Use Chaak Par Rakh Diya In English By Famous Poet Aslam Mahmood. Kiya Gardishon Ke Hawale Use Chaak Par Rakh Diya is written by Aslam Mahmood. Read famous Poem Kiya Gardishon Ke Hawale Use Chaak Par Rakh Diya for youth and Student by Aslam Mahmood. Free Download Kiya Gardishon Ke Hawale Use Chaak Par Rakh Diya in PDF.