Jal Raha Hun To Ajab Rang O Saman Hai Mera
jal raha hun to ajab rang o saman hai mera
aasman jis ko samajhte ho dhuan hai mera
le gai bandh ke wahshat use sahra ki taraf
ek dil hi to tha ab wo bhi kahan hai mera
dekh le tu bhi ki ye aaKHiri manzar hai mera
jis ko kahte hain shafaq rang-e-ziyan hai mera
apna hi zor-e-tanaffus na miTa de mujh ko
in dinon zad pe meri KHema-e-jaan hai mera
zarra-e-KHak bhi hota hai kabhi bar-e-giran
kabhi lagta hai ki ye sara jahan hai mera
ab ufuq-ta-ba-ufuq mein hun har aaine mein
jaise har samt o jihat aks-e-rawan hai mera
ruk gaya aa ke jahan qafila-e-rang-o-nashat
kuchh qadam aage zara baDh ke makan hai mera
(862) Peoples Rate This