Har Rang-e-tarab Mausam O Manzar Se Nikala
har rang-e-tarab mausam o manzar se nikala
ek rasta phir sai-e-mukarrar se nikala
chalne lagi har samt se jab baad-e-KHush-asar
ek aur bhanwar hum ne samundar se nikala
deti rahi aawaz pe aawaz ye duniya
sar hum ne na phir KHak ki chadar se nikala
kam paD gai parwaz ko jab wusat-e-aflak
ek aur falak apne hi shahpar se nikala
hum dil se rahe tez hawaon ke muKHalif
jab tham gaya tufan to qadam ghar se nikala
ab kaifiyat o rang nazar aai jo duniya
mausam naya phir apne hi andar se nikala
aasar nazar aae na sairabi-e-dil ke
thak-haar ke sauda-e-numu sar se nikala
(732) Peoples Rate This