Dekh Ke Arzan Lahu SurKHi-e-manzar KHamosh
dekh ke arzan lahu surKHi-e-manzar KHamosh
bazi-e-jaan par meri tegh bhi shashdar KHamosh
aks mera muntashir aur ye aalam ki hai
ek ek aaina chup ek ek patthar KHamosh
tegh-e-nafas ko bahut naz tha raftar par
ho gai aaKHir mere KHun mein naha kar KHamosh
arsa-e-hairat mein gum aaina-KHane mere
KHema-e-mizhgan mein hain KHwab ke paikar KHamosh
KHauf se sab dam-ba-KHud fikr se chehre udas
mauj-e-hawa kyun hai chup kyun hai samundar KHamosh
koi alamat to ho koi nishan to mile
kyun hai lahu be-sada ho gae kyun sar KHamosh
(751) Peoples Rate This