Dasht Marub Hai Kitna Meri Virani Se
dasht marub hai kitna meri virani se
munh taka karta hai har dam mera hairani se
log dariyaon pe kyun jaan diye dete hain
tishnagi ka to talluq hi nahin pani se
ab kisi bhaw nahin milta KHaridar koi
gir gai hai meri qimat meri arzani se
KHud pe sau jabr kiye dil ko bahut samjhaya
ras aai kahan duniya hamein aasani se
ab ye samjhe ki andhera bhi zaruri shai hai
bujh gain aankhen ujalon ki farawani se
ajnabi aahaTen anjaan sadaen mujh mein
main to baz aaya KHarabe ki nigahbani se
aa gaya kaun ye aaj us ke muqabil 'aslam'
aaina TuT gaya aks ki tabani se
(765) Peoples Rate This