Aks Jal Jaenge Aaine Bikhar Jaenge
aks jal jaenge aaine bikhar jaenge
KHwab in jagti aankhon mein hi mar jaenge
hum ki dil-dada kahan raunaq-e-bazar ke hain
be-niyazana hi duniya se guzar jaenge
jin ko dastar ki KHwahish hai unhen kya malum
marka ab ke wo Thahra hai ki sar jaenge
koi manzil nahin raste hain faqat chaaron taraf
jo nikal aae hain ghar se wo kidhar jaenge
dekh aa kar ki tere hijr mein bhi zinda hain
tujh se bichhDe the to lagta tha ki mar jaenge
hum ki sharminda-e-asbab nahin hone ke
hukm jab hoga to be-raKHt-e-safar jaenge
hum se dariya jo gurezan hai to hum bhi ek din
kisi tapte hue sahra mein utar jaenge
hum ko dariya se na maujon se na kashti se gharaz
ab ke us par hamein le ke bhanwar jaenge
(1333) Peoples Rate This