Ai Mere Ghubar-e-sar Tu Hi To Nahin Tanha Raegan To Main Bhi Hun

ai mere ghubar-e-sar tu hi to nahin tanha raegan to main bhi hun

mere har KHasare par mere ye muKHalif kya shadman to main bhi hun

dasht ye agar apni wusaton pe nazan hai mujh ko is se kya lena

zarra hi sahi lekin meri apni wusat hai be-karan to main bhi hun

dar-ba-dar bhaTakti hai dasht o shahr o sahra mein apna sar paTakti hai

ai hawa-e-awara teri hi tarah be-ghar be-aman to main bhi hun

kuch kar gae jaane kitne qafile jin ka kuchh nishan nahin milta

main bhi hun kamar-basta yani rah-raw-e-rah-e-raftagan to main bhi hun

tu jo ek shoala hai chob-e-KHushk hun main bhi apna haal yaksan hai

der hai bhaDakne ki phir to rakh hai tu bhi phir dhuan to main bhi hun

(767) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ai Mere Ghubar-e-sar Tu Hi To Nahin Tanha Raegan To Main Bhi Hun In English By Famous Poet Aslam Mahmood. Ai Mere Ghubar-e-sar Tu Hi To Nahin Tanha Raegan To Main Bhi Hun is written by Aslam Mahmood. Read famous Poem Ai Mere Ghubar-e-sar Tu Hi To Nahin Tanha Raegan To Main Bhi Hun for youth and Student by Aslam Mahmood. Free Download Ai Mere Ghubar-e-sar Tu Hi To Nahin Tanha Raegan To Main Bhi Hun in PDF.