Zalzale Ka KHauf Tari Hai Dar-o-diwar Par
zalzale ka KHauf tari hai dar-o-diwar par
jabki main baiTha hua hun kanpte minar par
han isi raste mein hai shahr-e-nigar-e-arzu
aap chalte jaiye mere lahu ki dhaar par
phir uDa lai hawa mujh ko jalane ke liye
zard patte chand sukhi Tahniyan do-chaar par
tair-e-taKHil ka sara badan aazad hai
sirf ek patthar paDa hai shisha-e-minqar par
waqt ka dariya to in aankhon se Takraata raha
apne hisse mein na aaya lamha-e-didar par
sara pani chhagalon se aablon mein aa gaya
chilchilati dhup ke jalte hue israr par
(1357) Peoples Rate This