ZaKHm Sahe Mazduri Ki
zaKHm sahe mazduri ki
sans kahani puri ki
jazbe ki har konpal ko
aag lagi majburi ki
chup aaya chup lauT gaya
goya baat zaruri ki
us ka nam labon par ho
saat ho manzuri ki
kitne suraj bit gae
rut na gai be-nuri ki
pas hi kaun tha 'aslam' jo
karen shikayat duri ki
(1341) Peoples Rate This