Soch Ki Uljhi Hui JhaDi Ki Jaanib Jo Gai
soch ki uljhi hui jhaDi ki jaanib jo gai
aas ki rangin titli KHun ka chhinTa ho gai
us ki KHushbu thi meri aawaz thi kya chiz thi
jo daricha toD kar nikli faza mein kho gai
aaKHir-e-shab dur kohsaron se barfani hawa
shahr mein aai mere kamre mein aa kar so gai
chand chhilkon aur ek buDhi bhikaran ke siwa
rail-gaDi aaKHiri manzil pe KHali ho gai
is qadar mela na tha jis par kisi ka nam tha
phir bhi 'aslam' aankh chhalki aur kaghaz dho gai
(940) Peoples Rate This