Sine Mein Sulagte Hue Lamhat Ka Jangal
sine mein sulagte hue lamhat ka jangal
kis tarah kaTe taron bhari raat ka jangal
han dast-shanasi pe baDa naz tha us ko
dekha na gaya us se mere hat ka jangal
ummid ka ek peD ugae nahin ugta
KHud-raw hai magar zehn mein shubhat ka jangal
de taqat-e-parwaz ki upar se guzar jaun
kyun rah mein hail hai meri zat ka jangal
KHwabida hain is mein kai ayyar darinde
behtar hai ki jal jae ye jazbaat ka jangal
kuchh aur masail meri jaanib hue mail
kuchh aur hara ho gaya haalat ka jangal
taswir-e-ghazal mein se jhalakta hua 'aslam'
ye shahr-e-suKHan hai ki KHurafat ka jangal
(958) Peoples Rate This