Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f86d4fa2f3743b79d760e12638c35388, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
RuTh Kar Nikla To Wo Us Samt Aaya Bhi Nahin - Aslam Kolsarii Poetry In English - Darsaal

RuTh Kar Nikla To Wo Us Samt Aaya Bhi Nahin

ruTh kar nikla to wo us samt aaya bhi nahin

aur main ne aadatan ja kar manaya bhi nahin

aan baiThi hai munDeron par KHizan ki zard lau

main ne koi peD aangan mein ugaya bhi nahin

phir sulagti ungliyan kis tarah raushan ho gain

us ne mera hath aankhon se lagaya bhi nahin

apni sochon ki bulandi aur wusat kya karun

aasman ka saeban kya jis ka saya bhi nahin

phir gali-kuchon se mujh ko KHauf kyun aane laga

jagmagata shahr hai 'aslam' paraya bhi nahin

(839) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

RuTh Kar Nikla To Wo Us Samt Aaya Bhi Nahin In English By Famous Poet Aslam Kolsarii. RuTh Kar Nikla To Wo Us Samt Aaya Bhi Nahin is written by Aslam Kolsarii. Read famous Poem RuTh Kar Nikla To Wo Us Samt Aaya Bhi Nahin for youth and Student by Aslam Kolsarii. Free Download RuTh Kar Nikla To Wo Us Samt Aaya Bhi Nahin in PDF.