RuTh Kar Nikla To Wo Is Samt Aaya Bhi Nahin
ruTh kar nikla to wo is samt aaya bhi nahin
aur main ne aadatan ja kar manaya bhi nahin
aan baiThi hai munDeron par KHizan ki zard lau
main ne koi peD aangan mein ugaya bhi nahin
phir sulagti ungliyan kis tarah raushan ho gain
us ne mera hath aankhon se lagaya bhi nahin
apni sochon ki bulandi aur wusat kya karun
aasman ka saeban kya jis ka saya bhi nahin
phir gali kuchon se mujh ko KHauf kyun aane laga
jagmagata shahr hai 'aslam' paraya bhi nahin
(903) Peoples Rate This