Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d6fa2848288914e43c93e754008f5978, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Qarib Aa Ke Bhi Ek ShaKHs Ho Saka Na Mera - Aslam Kolsarii Poetry In English - Darsaal

Qarib Aa Ke Bhi Ek ShaKHs Ho Saka Na Mera

qarib aa ke bhi ek shaKHs ho saka na mera

yahi hai meri haqiqat yahi fasana mera

ye aur baat ki mujh ko na mil saka ab tak

tere jahan mein kahin hai sahi Thikana mera

charagh kahne laga phir hawa ke jhonke se

ye ehtimam to ai dost hai tera na mera

so ab tu bazm-e-tamanna mein tairana chahak!

tere dimagh pe halka sa bojh tha na mira?

abhi to gunj rahe hain badan mein shoale se

abhi to KHam hai andaz-e-ashiqana mera

kahan majal ki marzi se phaDphaDa bhi sukun

qafas-misal hai 'aslam' ye aashiyana mera

(1100) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qarib Aa Ke Bhi Ek ShaKHs Ho Saka Na Mera In English By Famous Poet Aslam Kolsarii. Qarib Aa Ke Bhi Ek ShaKHs Ho Saka Na Mera is written by Aslam Kolsarii. Read famous Poem Qarib Aa Ke Bhi Ek ShaKHs Ho Saka Na Mera for youth and Student by Aslam Kolsarii. Free Download Qarib Aa Ke Bhi Ek ShaKHs Ho Saka Na Mera in PDF.