Nazar Ko Waqf-e-hairat Kar Diya Hai
nazar ko waqf-e-hairat kar diya hai
use bhi dil se ruKHsat kar diya hai
barae-nam tha aaram jis ko
ghazal kah kar musibat kar diya hai
samajhte hain kahan patthar kisi ki
magar itmam-e-hujjat kar diya hai
gali-kuchon mein jalti raushni ne
hasin shamon ko shamat kar diya hai
basirat ek daulat hi thi aaKHir
so daulat ko basirat kar diya hai
kai hamdam nikal aae hain jab se
zaban ko sirf ghibat kar diya hai
suKHan ke bab mein bhi hum ne 'aslam'
jo karna tha ba-ujlat kar diya hai
(894) Peoples Rate This