Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d2057b7802396730ada1ba3001a70860, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Har-chand Be-nawa Hai Kore GhaDe Ka Pani - Aslam Kolsarii Poetry In English - Darsaal

Har-chand Be-nawa Hai Kore GhaDe Ka Pani

har-chand be-nawa hai kore ghaDe ka pani

diwan 'mir' ka hai kore ghaDe ka pani

uplon ki aag ab tak hathon se jhankti hai

aankhon mein jagta hai kore ghaDe ka pani

jab mangte hain sare angur ke sharare

apni yahi sada hai kore ghaDe ka pani

kaghaz pe kaise Thahren misre meri ghazal ke

lafzon mein bah raha hai kore ghaDe ka pani

KHana-ba-dosh chhori takti hai chori chori

us ka to aaina hai kore ghaDe ka pani

chiDiyon si chahchahaen panghaT pe jab bhi sakhiyan

chup-chap ro diya hai kore ghaDe ka pani

us ke lahu mein shayad tasir ho wafa ki

jis ne kabhi piya hai kore ghaDe ka pani

izzat zamir mehnat danish hunar mohabbat

lekin kabhi bika hai kore ghaDe ka pani

dekhun jo chandni mein lagta hai mujh ko 'aslam'

pighli hui dua hai kore ghaDe ka pani

(777) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har-chand Be-nawa Hai Kore GhaDe Ka Pani In English By Famous Poet Aslam Kolsarii. Har-chand Be-nawa Hai Kore GhaDe Ka Pani is written by Aslam Kolsarii. Read famous Poem Har-chand Be-nawa Hai Kore GhaDe Ka Pani for youth and Student by Aslam Kolsarii. Free Download Har-chand Be-nawa Hai Kore GhaDe Ka Pani in PDF.