Dayar-e-hijr Mein KHud Ko To Akasr Bhul Jata Hun
dayar-e-hijr mein KHud ko to akasr bhul jata hun
tujhe bhi main teri yaadon mein kho kar bhul jata hun
ajab din the ki barson zarb-e-KHushbu yaad rahti thi
ajab din hain ki fauran zaKHm-e-KHanjar bhul jata hun
guzar jata hun ghar ke samne se be-KHayali mein
kabhi daftar ke darwaze pe daftar bhul jata hun
isi bais baDi chahat se milta hun ki main akasr
juda hote hi chehra nam paikar bhul jata hun
mujhe patthar ki surat hi sahi zinda to rahna hai
so main har waqia manzar-ba-manzar bhul jata hun
wo sab kuchh yaad rakhta hun bhulana jis ka behtar ho
magar jo yaad rakhna ho sarasar bhul jata hun
(1077) Peoples Rate This