Zist Ki Dhup Se Yun Bach Ke Nikalta Kyun Hai
zist ki dhup se yun bach ke nikalta kyun hai
tu jo suraj hai to phir sae mein chalta kyun hai
tu jo patthar hai to phir palkon pe aansu kaise
tu samundar hai to phir aag mein jalta kyun hai
mere chehre mein jo shaista-nazar aata hai
meri shiryanon mein wo shaKHs ubalta kyun hai
kal tumhin ne use ye pyala diya tha yaro
mo'tariz kyun ho ki wo zahar ugalta kyun hai
meri sanson mein sisakne ki sada aati hai
ek marghaT sa mere sine mein jalta kyun hai
jaane kin zarron se us KHun ki shanasai hai
panw us moD pe hi aa ke phisalta kyun hai
mahfil-e-laghw se tahzib ne kya lena hai
aise shorida-saron mein tu sambhalta kyun hai
(652) Peoples Rate This