Subuk Sa Dard Tha UThta Raha Jo ZaKHmon Se
subuk sa dard tha uThta raha jo zaKHmon se
to hum bhi karte rahe chheD-chhaD ashkon se
sabhi ko zaKHm-e-tamanna dikha ke dekh liye
KHuda se dad mili aur na us ke bandon se
dhuan sa uThne laga fikr-o-fan ke aiwan mein
lahu ki bas si aane lagi hai sheron se
ab in se dekhiye kab manzilen huwaida hon
uTha ke laya hun kuchh naqsh teri rahon se
bilak raha hai nigahon mein hasraton ka hujum
laTak rahi hain patangen udas khambon se
ab aur kis se tere gham ka tazkira karte
tamam-raat rahi guftugu sitaron se
bas ek jast mein aflak se nikal jaun
phalang jaun zamin ko main chaar qadmon se
(691) Peoples Rate This