LuTi Bahaar Ka Sukha Gulab Rahne Do

luTi bahaar ka sukha gulab rahne do

hamari aankhon mein koi to KHwab rahne do

nae sire se chalo koi ahd karte hain

wafa jafa ka purana hisab rahne do

tamam-umr guzari hai in dayaron mein

KHulus hoga yahan dastiyab rahne do

KHumar utra nahin hai abhi to ashkon ka

abhi ye saghar-o-mina sharab rahne do

uThae phirte ho kya shahr-e-be-basirat mein

kise dikhaoge dil ki kitab rahne do

abhi to hum pe purane hi qarz baqi hain

sawal kar ke na kahiye jawab rahne do

gira zarur hai lekin mera nahin 'aslam'

takallufat murawwat janab rahne do

(1307) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

LuTi Bahaar Ka Sukha Gulab Rahne Do In English By Famous Poet Aslam Habeeb. LuTi Bahaar Ka Sukha Gulab Rahne Do is written by Aslam Habeeb. Read famous Poem LuTi Bahaar Ka Sukha Gulab Rahne Do for youth and Student by Aslam Habeeb. Free Download LuTi Bahaar Ka Sukha Gulab Rahne Do in PDF.