Koi Gulab Yahan Par Khila Ke Dekhte Hain
koi gulab yahan par khila ke dekhte hain
chalo KHaraba-e-jaan ko saja ke dekhte hain
jahan ko bhul ke tum ko bhula ke dekhte hain
ab apne aap ko dil se laga ke dekhte hain
bigaD gae the jise sun ke waqt ke tewar
jahan ko baat wahi phir suna ke dekhte hain
kabhi kisi ka bhi ehsan nahin liya hum ne
ab apne sar pe ye ehsan uTha ke dekhte hain
bahut dinon se koi baat kaam ki na hui
chalo falak ko zamin par bichha ke dekhte hain
nazar nazar to kai bar paDh chuke us ko
ghazal ko aaj zara gunguna ke dekhte hain
zamana hum pe bahut der hans chuka 'aslam'
chalo ab us ki hansi bhi uDa ke dekhte hain
(683) Peoples Rate This