Dosti Ko Aam Karna Chahta Hai

dosti ko aam karna chahta hai

KHud ko wo nilam karna chahta hai

bech aaya hai ghaTa ke hath suraj

dopahar ko sham karna chahta hai

naukri pe bas nahin jaan pe to hoga

ab wo koi kaam karna chahta hai

umr-bhar KHud se raha naraaz lekin

dusron ko ram karna chahta hai

bechta hai sach bhare bazar mein wo

zahar pi kar nam karna chahta hai

maqta-e-be-rang kah kar aaj 'aslam'

hujjat-e-itmam karna chahta hai

(717) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dosti Ko Aam Karna Chahta Hai In English By Famous Poet Aslam Habeeb. Dosti Ko Aam Karna Chahta Hai is written by Aslam Habeeb. Read famous Poem Dosti Ko Aam Karna Chahta Hai for youth and Student by Aslam Habeeb. Free Download Dosti Ko Aam Karna Chahta Hai in PDF.