Dhanak Ki Bund
mera aansu mujhe wapas de do
ab main aansu na bahaunga kabhi
main ye moti na luTaunga kabhi
ye bhi dekho ki hain is bund mein kya rang chhupe
sochta hun ki dhanak hai ye bhi
is mein hai KHun-e-jigar ki surKHi
hai mere chehra-e-ghamnak ki zardi us mein
dard ki nilgun lahron ki tawanai hai
dil ke talab pe lahraati hui
gulguli kai ki sabzi bhi to hai
us mein naranji shagufon ki udasi bhi to hai
ude baadal ki larazti hui parchhain bhi hai
mere mahaul ki tarik safedi bhi to hai
mera aansu mujhe wapas de do
main ye moti na luTaunga kabhi
(825) Peoples Rate This