Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2379f28acd3bc77c5af224badf80b250, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hangama-e-hasti Se Guzar Kyun Nahin Jate - Aslam Farrukhi Poetry In English - Darsaal

Hangama-e-hasti Se Guzar Kyun Nahin Jate

hangama-e-hasti se guzar kyun nahin jate

raste mein khaDe ho gae ghar kyun nahin jate

mai-KHane mein shikwa hai bahut tira-shabi ka

mai-KHane mein ba-dida-e-tar kyun nahin jate

ab jubba-o-dastar ki waqat nahin baqi

rindon mein ba-andaz-e-digar kyun nahin jate

jis shahr mein gumrahi aziz-e-dil-o-jaan ho

us shahr-e-malamat mein KHizar kyun nahin jate

tosha nahin koi nasim-e-sahari ka

be-rahila o zad-e-safar kyun nahin jate

shayad ki shanasa ho koi be-hunari ka

kyun Darte ho bazar-e-hunar kyun nahin jate

har lahza hai jo sar ke liye ek nai Thokar

us zillat-e-har-roz se mar kyun nahin jate

hum jis ke liye zinda hain ba-haal-e-pareshan

ab wo bhi ye kahta hai ki mar kyun nahin jate

kyun gosha-e-KHalwat se nikalte nahin 'aslam'

baiThe hain jidhar log udhar kyun nahin jate

(790) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hangama-e-hasti Se Guzar Kyun Nahin Jate In English By Famous Poet Aslam Farrukhi. Hangama-e-hasti Se Guzar Kyun Nahin Jate is written by Aslam Farrukhi. Read famous Poem Hangama-e-hasti Se Guzar Kyun Nahin Jate for youth and Student by Aslam Farrukhi. Free Download Hangama-e-hasti Se Guzar Kyun Nahin Jate in PDF.