Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_5c18aa5d1fd5eb8487427ca72bddeb88, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aag Si Lag Rahi Hai Sine Mein - Aslam Farrukhi Poetry In English - Darsaal

Aag Si Lag Rahi Hai Sine Mein

aag si lag rahi hai sine mein

ab maza kuchh nahin hai jine mein

aaKHiri kashmakash hai ye shayad

mauj-e-dariya mein aur safine mein

zindagi yun guzar gai jaise

laDkhaData ho koi zine mein

dil ka ahwal puchhte kya ho

KHak uDti hai aabgine mein

kitne sawan guzar gae lekin

koi aaya na is mahine mein

sare dil ek se nahin hote

farq hai kankar aur nagine mein

zindagi ki saadaten 'aslam'

mil gain sab mujhe madine mein

(726) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aag Si Lag Rahi Hai Sine Mein In English By Famous Poet Aslam Farrukhi. Aag Si Lag Rahi Hai Sine Mein is written by Aslam Farrukhi. Read famous Poem Aag Si Lag Rahi Hai Sine Mein for youth and Student by Aslam Farrukhi. Free Download Aag Si Lag Rahi Hai Sine Mein in PDF.