Khokhle Bartan Ke HonT

khokhle bartan ke honT

sada ke khokhle but par

wo apni ungliyan ghiste rahenge

andhere narKHare se

bas hawa ki raft o aamad ka nishan

malum hota hai

zaban par sabz dhabbe paDte jaenge

chamakte sabz dhabbon mein ThiThurte aaine nili duaon ke

koi ye un se kah do

ki aawazen khaDakne ke siwa ya

dhaDdhaDane shor uThne ke siwa

taza nahin hotin

sada ka dewta

apne parinde le ke wapas ja chuka hai

(867) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Khokhle Bartan Ke HonT In English By Famous Poet Aslam Emadi. Khokhle Bartan Ke HonT is written by Aslam Emadi. Read famous Poem Khokhle Bartan Ke HonT for youth and Student by Aslam Emadi. Free Download Khokhle Bartan Ke HonT in PDF.