Wo Shab-e-gham Jo Kam Andheri Thi
wo shab-e-gham jo kam andheri thi
wo bhi meri ana ki subki thi
gham meri zindagi mein TuT gira
warna ye shor-dar naddi thi
din bhi shab-rang ban gae apne
pahle suraj se aankh milti thi
kya maqalat-e-ashiqi paDhte
bazm mein hum ne aah khinchi thi
jal rahe the hare-bhare jangal
aisi be-waqt aag phaili thi
main khaDa tha ukhaDte patthar par
wo usi tarah shant lagti thi
is liye be-karan mein ja pahunche
dur tak rahguzar andheri thi
is liye shahr mein rahe betab
tab-kari hawa mein phaili thi
chand roz aur muntazir rahte
waise mil kar bhi jaan deni thi
shab-e-ranj-o-mahan ka zikr na kar
us ki har ek ghaDi nashili thi
hum bhi 'aslam' isi guman mein hain
hum ne bhi koi zindagi ji thi
(762) Peoples Rate This