Tamam Khel-tamashon Ke Darmiyan Wahi

tamam khel-tamashon ke darmiyan wahi

wo mera dushman-e-jaan yani mehrban wahi

hazar raste badle hazar swang rache

magar hai raqs mein sar par ek aasman wahi

sabhi ko us ki aziyyat ka hai yaqin magar

hamare shahr mein hai rasm-e-imtihan wahi

tumhaare dard se jage to un ki qadr khuli

wagarna pahle bhi apne the jism-o-jaan wahi

wahi huruf wahi apne be-asar fiqre

wahi bujhe hue mauzua aur bayan wahi

(906) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tamam Khel-tamashon Ke Darmiyan Wahi In English By Famous Poet Aslam Emadi. Tamam Khel-tamashon Ke Darmiyan Wahi is written by Aslam Emadi. Read famous Poem Tamam Khel-tamashon Ke Darmiyan Wahi for youth and Student by Aslam Emadi. Free Download Tamam Khel-tamashon Ke Darmiyan Wahi in PDF.