Dil Ki DhaDkan Ab Rag-e-jaan Ke Bahut Nazdik Hai
dil ki dhaDkan ab rag-e-jaan ke bahut nazdik hai
raat be-awaz be-andaz be-tahrik hai
jam gai hain taron ki aaankhon pe baadal ki tahen
Dub jao zat ke andar falak tarik hai
kal ke lamhe aaj ke lamhon mein mudgham ho gae
dekhna aaankhon mein ab jalwa-numa tahrik hai
tum mere kamre ke andar jhankne aae ho kyun
so raha hun chain se hun Thik hai sab Thik hai
maut ka lamha abhi aaya abhi jaane ko hai
chum lo miTTi ko apni hadiya-e-tabrik hai
dosto aankhen na kholo ThanDi sansen mat bharo
aa gae manzil pe tum 'aslam' bahut nazdik hai
(910) Peoples Rate This