Yaadon Ka Lams Zehn Ko Chhu Kar Guzar Gaya
yaadon ka lams zehn ko chhu kar guzar gaya
nashtar sa mere jism mein jaise utar gaya
maujon ka shor mujh ko Daraata raha magar
pani mein panw rakhte hi dariya utar gaya
pairon pe har taraf hi hawaon ka raqs tha
ab sochta hun aaj wo manzar kidhar gaya
do din mein KHal-o-KHat mere tabdil ho gae
aaina dekhte hi main apne se Dar gaya
apna makan bhi tha usi moD par magar
jaane main kis KHayal mein auron ke ghar gaya
us din mera ye dil to bahut hi udas tha
shayad sukun hi ke liye dar-ba-dar gaya
main sang hun na aur wo shisha hi tha magar
'aslam' jo us ko hath lagaya bikhar gaya
(792) Peoples Rate This