UDte Lamhon Ke Bhanwar Mein Koi Phansta Hi Nahin
uDte lamhon ke bhanwar mein koi phansta hi nahin
is samundar mein koi tairne wala hi nahin
salha-sal se viran hain dil ki galiyan
ek muddat se koi is taraf aaya hi nahin
aankh ke ghaar mein hain saikDon saDti lashen
jhank kar un mein kisi ne kabhi dekha hi nahin
dur tak phail gai TuTte lamhon ki KHalij
waqt ka saya mere sar se utarta hi nahin
silsila rone ka sadiyon se chala aata hai
koi aansu meri palkon pe Thaharta hi nahin
jalte aakash ki Dhalwan pe suraj ka wajud
ek pighalta hua lawa hai ki bujhta hi nahin
(705) Peoples Rate This