Kahin Pe Qurb Ki Lazzat Ka Iqtibas Nahin
kahin pe qurb ki lazzat ka iqtibas nahin
tere KHayal ki KHushbu bhi aas-pas nahin
hazar bar nigahon se chum kar dekha
labon pe us ke wo pahli si ab miThas nahin
samundaron ka main namkin pani kaise piyun
piyasa hun magar itni ziyaada pyas nahin
saja ke botalen Table pe muntazir hun magar
qarib o dur nigahon ke wo glass nahin
tumhaare kapDe kahin gard mein na aT jaen
ye KHushk patton ka bistar hai narm ghas nahin
ye aur baat ki mujh se bichhaD ke KHush hai magar
wo kaise kah de ki main in dinon udas nahin
bujhi bujhi sahi ye dhup kam nahin 'aslam'
ab is ke baad kisi raushni ki aas nahin
(792) Peoples Rate This