Jagmagati KHwahishon Ka Nur Phaila Raat Bhar
jagmagati KHwahishon ka nur phaila raat bhar
sehn-e-dil mein wo gul-e-mahtab bikhra raat bhar
ek bhula waqia jab dafatan yaad aa gaya
aatish-e-zauq-e-talab ne phir jalaya raat bhar
doston ke sath din mein baiTh kar hansta raha
apne kamre mein wo ja kar KHub roya raat bhar
nind ke sahra mein pani ki tarah gum ho gaya
main ne us ko KHwab mein har samt DhunDa raat bhar
dhup ke baadal baras kar ja chuke the aur main
oDh kar shabnam ki chadar chhat pe soya raat bhar
nind ki komal fasilen aandhiyon mein bah gain
main ne apne KHwab ki lashon ko Dhoya raat bhar
narm bistar par shikan ki kirchiyan bikhri rahin
main ne 'aslam' ek ajab sa KHwab dekha raat bhar
(793) Peoples Rate This