Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2a44c48b30ea4cc1d4ad82551366f4d4, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Bas Ek Bar Use Raushni Mein Dekha Tha - Aslam Azad Poetry In English - Darsaal

Bas Ek Bar Use Raushni Mein Dekha Tha

bas ek bar use raushni mein dekha tha

phir is ke baad andhera bahut andhera tha

wo haal ka nahin mazi ka koi qissa tha

jab apne-ap mein main TuT kar bikharta tha

na manzilon ki talab mein lahu lahu the badan

na raston ke liye koi aah bharta tha

wo mujh ko saunp gaya manzilon ki mahrumi

jo har qadam pe mere sath sath chalta tha

na dasht o dar se alag tha na jangalon se juda

wo apne shahr mein rahta tha phir bhi tanha tha

(843) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bas Ek Bar Use Raushni Mein Dekha Tha In English By Famous Poet Aslam Azad. Bas Ek Bar Use Raushni Mein Dekha Tha is written by Aslam Azad. Read famous Poem Bas Ek Bar Use Raushni Mein Dekha Tha for youth and Student by Aslam Azad. Free Download Bas Ek Bar Use Raushni Mein Dekha Tha in PDF.