Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_564eced6c11175789c38490086eb4cb3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ai Zamistan Ki Hawa Tez Na Chal - Aslam Ansari Poetry In English - Darsaal

Ai Zamistan Ki Hawa Tez Na Chal

ai zamistan ki hua tez na chal

is qadar tez na ho mauj-e-subuk-KHez ki rau

kahin ashjar ke KHemon ki tanaben kaT jaen

zard patte hain abhi gulshan-e-hasti ka singhaar

kah rahi hai ye abhi ahd-e-guzashta ki bahaar

rang-rafta hun magar aaj bhi taswir mein hun

murtasim hain meri shaKHon pe meri yaad ke chand

main hanuz apne KHayalat ki zanjir mein hun

abhi patton pe chamak uThta hai rangon ka ghubar

abhi shaKHon mein lahak jati hai bulbul ki pukar

barg-rizan se kaho shahar se bahar Thahre

shahar ke bagh se bustan-e-dabistan se pare

barg-e-larzan mein taDapta hai abhi zauq-e-numu

par-e-taus mein hai raqs ki KHwahish ab bhi

abhi karta hai chaman chaak-e-gareban ko rafu

yun to qanun hain fitrat ke aTal

ai zamistan ki hawa tez na chal

sai-e-malbus mein hain kitne nagon baKHt-e-zabun

zindagi jin ke liye sahn-e-saman-posh nahin

dur ke des se aai hui utran ke liye

mard-o-zan kucha-o-bazar mein ruswa hain abhi

jaise ho qahr-e-mujassam teri yaKH-basta jabin

teri aahaT mein ho jaise kisi dahshat ka payam

teri dastak se larazte hain makan aur makin

wo makan jin ke dar-o-baam dar-o-baam nahin

wo makin jin ke liye ishrat-e-ayyam nahin

jin ke lahjon mein nahin lazzat-e-guftar ka rang

jin ki aawaz mein hain tira-nasibi ke azab

jin se tahzib liya karti hai jine ka KHiraj

jin ki har sans hai andesha-e-farda ka nisab

is qadar tund na ho dekh sambhal

ai zamistan ki hua tez na chal

(1290) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ai Zamistan Ki Hawa Tez Na Chal In English By Famous Poet Aslam Ansari. Ai Zamistan Ki Hawa Tez Na Chal is written by Aslam Ansari. Read famous Poem Ai Zamistan Ki Hawa Tez Na Chal for youth and Student by Aslam Ansari. Free Download Ai Zamistan Ki Hawa Tez Na Chal in PDF.