Wo NaKHl Jo Bar-war Hue Hain
wo naKHl jo bar-war hue hain
aashob-e-KHizan se Dar rahe hain
shaKHon pe tir ke zaKHm hain ye
ya phir se gulab jhankte hain
zulmat mein bahut hi yaad aae
wo chand jo ham-safar rahe hain
le dast-e-hawas ye phul tere
kanTe to wafa ne chun liye hain
badla na nawishta-e-maqdur
maktub to hum ne bhi likhe hain
pamal-e-jahan hue ki hum ne
kuchh KHwab jahan ko bhi diye hain
TuTi hai kahin sada ki zanjir
halqe se KHayal ke paDe hain
sahra ka sukut kah raha hai
shahron ke charagh bujh gae hain
ai ishq-e-junun-shiar tere
duniya mein ajib silsile hain
chamki hai jo sarnawisht-e-adam
tahzib ke naqsh ban gae hain
aafaq ki wusaton se aage
kuchh aur charagh jal uThe hain
insan ka shuur kah raha hai
insan ne bahut se dukh sahe hain
(880) Peoples Rate This