Maine Roka Bhi Nahin Aur Wo Thahra Bhi Nahin
main ne roka bhi nahin aur wo Thahra bhi nahin
hadisa kya tha jise dil ne bhulaya bhi nahin
jaane walon ko kahan rok saka hai koi
tum chale ho to koi rokne wala bhi nahin
kaun sa moD hai kyun panw pakaDti hai zamin
us ki basti bhi nahin koi pukara bhi nahin
be-niyazi se sabhi qarya-e-jaan se guzre
dekhta koi nahin hai ki tamasha bhi nahin
wo to sadiyon ka safar kar ke yahan pahuncha tha
tu ne munh pher ke jis shaKHs ko dekha bhi nahin
kis ko nairangi-e-ayyam ki surat dikhlaen
rang uDta bhi nahin naqsh Thaharta bhi nahin
ya hamin ko na mila us ki haqiqat ka suragh
ya sar-e-parda-e-alam mein koi tha bhi nahin
(2704) Peoples Rate This