Laraz Laraz Ke Dil-e-na-tawan Thahar Hi Na Jae
laraz laraz ke dil-e-na-tawan Thahar hi na jae
firaq-e-saz kahin ruh-e-naghma mar hi na jae
utar le kisi shishe mein saat-e-naghma
sada-e-qafila-e-gul kahin bikhar hi na jae
suna bhi de kisi gul ko fusun-e-tanhai
rah-e-KHayal se ye karwan guzar hi na jae
hai ek qulzum-e-KHun qarya-e-junun se udhar
yahan jo aae koi us ki phir KHabar hi na jae
kisi ko mohlat-e-hasti bhi de gham-e-jaanan
ye kya ki aae koi to palaT ke ghar hi na jae
wo KHush-mizaj hai us ko alam se kya nisbat
suna na ishq ka gham, ishq se wo Dar hi na jae
nigah-e-yar, gham-e-jaan-gusil ka kya hoga
tere karam se nasib-e-wafa sanwar hi na jae
baha de aaj kuchh aansu ki phir ghanimat hain
chaDha hai aaj jo dariya wo kal utar hi na jae
baja ki jaan se guzarna bahut kaThin hai magar
tere nisar koi aisa kaam kar hi na jae
(862) Peoples Rate This