Kuchh To Gham-KHana-e-hasti Mein Ujala Hota
kuchh to gham-KHana-e-hasti mein ujala hota
chand chamka hai to ehsas bhi chamka hota
aaina-KHana-e-alam mein khaDa sochta hun
main na hota to yahan kaun sa chehra hota
KHud bhi gum ho gae hum apni sadaon ki tarah
dasht-e-furqat mein tujhe yun na pukara hota
husn-e-izhaar ne ranai ata ki gham ko
gul agar rang na hota to sharara hota
hum bhi ehsas ki taswir bana sakte the
kash hum pe kabhi izhaar ka dar wa hota
fursat-e-shauq na di karb-e-wafa ne rona
koi eajaz to hum ne bhi dikhaya hota
hum ko pahchan ki ai bazm-e-chaman-zar-e-wajud
hum na hote to tujhe kis ne sanwara hota
ek surat se hua naqsh-e-do-alam ko farogh
aaina TuT na jata to tamasha hota
hum ne har KHwab ko tabir ata ki 'aslam'
warna mumkin tha ki har naqsh adhura hota
(922) Peoples Rate This