KHafa Na Ho Ki Tera Husn Hi Kuchh Aisa Tha
KHafa na ho ki tera husn hi kuchh aisa tha
main tujh se pyar na karta to aur kya karta
Thahar ke sun to sahi gham ki Dubti aawaz
palaT ke dekh to le manzar-e-shikast-e-wafa
tu KHwab tha to mujhe nind se jagaya kyun
tu wahm tha to mere sath sath kyun na chala
kahan kahan liye phirta kashan kashan mujh ko
lipaT gaya hai mere panw se mera saya
hawa chali hai ki talwar si chali hai abhi
lahu mein Dub gaya shaKH shaKH ka chehra
damak uThi hain jabinen mere KHayalon ki
lapak gaya hai kahin teri yaad ka shoala
kisi ko KHwahish-e-dasht-e-wajud hi kab thi
suna fasana-e-hasti to phir raha na gaya
sunahri rut ke kisi nilgun tanazur mein
KHat-e-ufuq pe wo pila gulab phir na khila
(1039) Peoples Rate This