Jab Hamein Izn Tamasha Hoga
jab hamein izn tamasha hoga
tu kahan anjuman-ara hoga
hum na pahunche sar-e-manzil to kya
ham-safar koi to pahuncha hoga
uDti hogi kahin KHushbu-e-KHayal
gul-e-mani kahin khilta hoga
har gul-o-barg hai ek naqsh-e-qadam
kaun is rah se guzra hoga
lab-e-taswir pe goya hai suKHan
koi sun le to tamasha hoga
ab bhi gul-posh dariche ke qarib
tu kisi soch mein Duba hoga
aaj ki sham bhi wo sarw-e-jamil
tere aangan mein lahakta hoga
tu ne jab hath chhuDaya tha wo pal
tujh ko bhi yaad to aata hoga
dil ye kahta hai tujhi se miliye
main ye kahta hun ki phir kya hoga
dasht-e-furqat mein khaDa sochta hun
tu kahan anjuman-ara hoga
(934) Peoples Rate This