Ghubar-e-ehsas-o-pesh-o-pas Ki Agar Ye Barik Tah HaTaen
ghubar-e-ehsas-o-pesh-o-pas ki agar ye barik tah haTaen
to ek pal mein na jaane kitne zamanon ke aks thartharaen
KHizan agar apna KHun na baKHshe to fasl-e-gul kaise surKH-ru ho
sukut apna jigar na chire to kaise jhankar den sadaen
bikhar chale hain bikhar chuke hain gul-e-ibarat ke barg-reze
kitab-e-jaan ki shahadaton ka waraq waraq le gain hawaen
hua ki be-rang taKHtiyon par sada ki tahrir kya ubhaaren
sukut ke be-nishan khanDar mein charagh-e-awaz kya jalaen
ye shauq ki be-nasib kaliyan ye dard ke be-KHizan shagufe
tumhaare qadmon mein rakh na pae to kis ki chaukhaT pe ja giraen
hawa ki talwar chal rahi ho to shaKH-e-ummid kya sambhaalen
badan ki diwar gir rahi ho to dil ki diwar kya bachaen
tamasha-gah-e-tarab-nishan mein sabhi ko lazim hai muskurana
jo gham-faroshi na karna chahen wahi yahan baKHt aazmaen
muhib raaton mein Dagmagate dukhi badan ke musafiron ko
akele-pan mein Dara rahi hai samay ke jangal ki saen saen
tamam alfaz mar chuke hain tamam ahbab ja chuke hain
gai ruton ke sitam ka qissa sunaen kaise kise sunaen
(909) Peoples Rate This