Apni Sada Ki Gunj Hi Tujhko Dara Na De
apni sada ki gunj hi tujh ko Dara na de
ai dil tilism-e-gumbad-e-shab mein sada na de
diwar-e-KHastagi hun mujhe hath mat laga
main gir paDunga dekh mujhe aasra na de
gul kar na de charagh-e-wafa hijr ki hawa
tul-e-shab-e-alam mujhe patthar bana na de
hum sab asir-e-dasht-e-huwaida hain dosto
hum mein koi kisi ko kisi ka pata na de
sab mahw-e-naqsh-e-parda-e-rangin to hain magar
koi sitam-zarif ye parda haTa na de
ek zindagi-gazida se ye dushmani na kar
ai dost mujh ko umr-e-abad ki dua na de
Darta hun aaina hun kahin TuT hi na jaun
ek lau si hun charagh ki koi bujha na de
han mujh pe faiz-e-'mir'-o-'firaq'-o-'nadim' hai
lekin tu ham-suKHan mujhe itni hawa na de
(1650) Peoples Rate This